How To Create Adsense Account
Adsense Account Kya Hota Hai?
Dosto apne aaj tak bhot se account ke bare me suna hoga , bank account , paytm account , paypal account but ye adsense account kya hai or ishke through paise kese kama skte hai hum ?
jese mene ek post me btaya hai ki ap youtube or website ke through online paisa kama skte hai lekin vo paisa ayega kese or hmare tak pohchega kese ye sab aaj ish post me btane vali hu
agar apne last post nahi padhi jishme online paisa kamane ke bare me btaya hai to niche diye gye link per click krke phle ush post ko padhe.
How To Make Money Online.
jese mene apko btaya online paisa kamane ke liye adsense account jaruri hai jish se hum youtube ya website per jo bhi kam karenge ushka paisa hmare account me ayega .
ab ap soch rhe hoge ki ush account se paise kese nikal skte hai ish naam ka to koi bank bhi nahi hai , to adsense account ke under ek option hota hai jish me ap apna bank account add kr skte hai or jish bhi bank me ap paise magana chahte hai ush bank ki detail dal ke add kr skte hai or paise ush bank me aa jaya krenge har month.
Adsense Account Ki Kuch Important Information.
-
adsense har month ke 15 tarikh ko paise apke bank account ke liye release krta hai.
-
vo paise apke bank account me 21 tarikh se le ke 30 tarikh ke bich me apke account me aa jate hai .
-
jab adsense me 100$ complete hote hai tabhi vo paise apke account me send krta hai (for example. ish month apke adsense me 80$ huye to ish month apke paise release ni krega jish month me bhi apke adsense account me 100$ pure ho jayenge ushi month apke account ke liye paise release kr dega.)
Adsense Account Open Kese Kare ?
1. Adsense account open krne ke liye google per google adsense search krna hoga.
2. then kuch ish trah ka result ayega google adsense per click krna hoga.
3. then kuch ish trah ka interface open hoga , then sign up per click krenge.
4. sign up per click krke , ek form open hoga jishe apko fill krna hai.
i. Apne website ka link dalenge ya agar ap youtube channel ke liye apply kr rhe hai to youtube channel ka url link denge
kuch ish trah se link copy krenge , or URL of your site per ja ke paste krenge.
ii. then second option per apko apna email id dalni hai jish bhi email id se apne channel ya website create ki hai , vo email address.
iii. then apko first option choose krna hai, Yes send me customised help and performance suggestions.
5. then save and continue per click krna hai.
6. then apko country choose krni hai.
7. then Sare terms and conditions ko accept krenge.
Apka Adsense Account Successfully Create Ho Gya 🙂
-
Youtube ke liye adsense account Approve kese karaye?
-
Website ke liye adsense account Approve kese kareye?